Thursday, May 28, 2009

Wo Najuk si ladki

Kahin aik masoom nazuk si larki
Bohat Khubsurat magar sanwli si
Mujhay apnay khwabon ki bahon main pa kay
Kabhi neend main muskurati to hogi
Usi neend main kasmasa kasmasa kar
Sirhanay se Takiye girati to hogi

Wohi Khwab din ki mundairon pe akay
Usay man hi man main lubhatay to hongay
Kaee saaz seenay ki khamoshion main
Meri yaad se jhanjhanatay to hongay
Wo besakhta dheemay dheemay suron main
meri dhun main kuch gungunatee to hogi

Chalo Khat likhain jee main ata to hoga
Magar ungliyan kanpkapaati to hongeen
Qalam Haath se choot jata to hoga
Umangain qalam phir uthati to hongi
Mera naam apni kitabon pe likh kar
Wo daanton main ungli dabati to hogi

Zuban se kabhi uff nikalti to hogi
badan dheeme dheeme dehakta to hoga
Kanhi ke kanhi paon partay to hongay
Badan pe dupatta latakta to hoga
Kabhi subh ko sham kehti to hogi
Kabhi rat ko din batati to hogi

Kahin ek masoom nazuk si larki
Bohat Khubsurat magar sanwli si
Mujhay apnay khwabon ki bahon main pa kay
Kabhi neend main muskurati to hogi

Koi Deewana Kehta Hai

Koi deewana kehta hai, koi pagal samajhta hai

Magar dharti  ki baichaini ko bas badal samajhta hai,

Main tujhse door kaisa hoon, tu mujhse door kaisi hai,

Ye tera dil samajhta hai ya mera dil samajhta hai.........

—-

Mohabbat ek ehsaason ki pawan si kahani hai,

Kabhi kabira diwana tha kabhi meera diwani hai

Yahan sab log kehta hain meri aankhon main aansoon hain,

Jo tu samjhe to moti hain, jo naa samjhe to paani hai....

—-

Samundar peer ka andar hai lekin ro nahin sakta,

Ye ansoon pyaar ka moti hai isko kho nahin sakta....

Meri chahat ko dulhan tu bana lena magar sun le,

Jo mera ho nahin paaya, wo tera ho nahin sakta........

—-

Swayam se door ho tum bhi, swayam se door hain hum bhi...

Bade mashhoor ho tum bhi bade mashhoor hain hum bhi,

Bade magroor ho tum bhi bade magroor hain hum bhi.....

atah majboor ho tum bhi atah majboor hain hum bhi...........

—-

Bhramar koi kumudani par machal baitha to hungama,

Humare dil main koi khwaab pal baitha to hungama.

Bade hi gaur se sunate hain sab kisse muhabbat ke...

Main kisse ko haqeeqat main badal baitha to hungama...


Sirf Itna Kaha Hai

Sirf Itna hi kaha hai, pyar hai tumse;
Jajbaaton ki kabhi Numaish nahin ki..........

Pyar ke badle sirf pyaar manga hai;
Rishtey ki to koi guzaarish nahin ki............

Chaho to bhula dena humein dil se;
Sada yaad rakhnein ki sifarish nahin ki...........

Khamoshi se toofan seh lete hai jo;
Un baadlon ne Ijhaar ki baarish nahin ki............

Tumhein hi maana hai rehnuma apna;
Aur to kisi cheez ki khwahish nahin ki...............

Wednesday, May 27, 2009

Sab kuch yahaan nahin milta....

Kabhi kisi ko mukammal jahaan nahin miltaa
Kahin zameen to kahin aasmaan nahin miltaa
Jise bhi dekhiye wo apne aapmai gum hai
Zubaan mili hain magar humzubaan nahin miltaa
Bujhaa saka hain bhala kaun wakt ke shole
Ye aisi aag hain jis mein dhuaan nahin miltaa
Tere jahaan main aisa nahin ke pyaar na ho
Jahaa ummeed ho is ki wahaa nahin miltaa

Tuesday, May 26, 2009

"PAGAL LADKI"

Pagli Ladki
Mawas ki kaali raaton mein dil ka darwaja khulta hai,
Jab dard ki pyaali raaton mein gam ansoon ke sang hote hain,
Jab pichwade ke kamre mein hum nipat akele hote hain,
Jab ghadiyan tik-tik chalti hain, sab sote hain, hum rote hain,
Jab baar baar dohrane se saari yaadein chuk jaati hain,
Jab unch-neech samjhane mein mathe ki nas dukh jaati hain,
Tab ek pagli ladki ke bin jeena gaddari lagta hai,
Aur us pagli ladki ke bin marna bhi bhari lagta hai.

Jab pothe khali hote hain, jab har sawali hote hain,
Jab gazlen raas nahin aatin, afsane gaali hote hain.
Jab baasi feeki dhoop sametein din jaldi dhal jaata hai,
Jab suraj ka laskhar chhat se galiyon mein der se jaata hai,
Jab jaldi ghar jaane ki ichha mann hi mann ghut jaati hai,
Jab college se ghar laane waali pahli bus chhut jaati hai,
Jab beman se khaana khaane par maa gussa ho jaati hai,
Jab lakh mana karne par bhi paaro padhne aa jaati hai,
Jab apna har manchaha kaam koi lachari lagta hai,
Tab ek pagli ladki ke bin jeena gaddari lagta hai,
Aur us pagli ladki ke bin marna bhi bhari lagta hai.

Jab kamre mein sannate ki awaj sunai deti hai,
Jab darpan mein aankhon ke neeche jhai dikhai deti hai,
Jab badki bhabhi kahti hain, kuchh sehat ka bhi dhyan karo,
Kya likhte ho dinbhar, kuchh sapnon ka bhi samman karo,
Jab baba waali baithak mein kuchh rishte waale aate hain,
Jab baba humein bulate hain, hum jaate hain, ghabrate hain,
Jab saari pahne ek ladki ka ek photo laya jaata hai,
Jab bhabhi humein manati hain, photo dikhlaya jaata hai,
Jab saare ghar ka samjhana humko fankari lagta hai,
Tab ek pagli ladki ke bin jeena gaddari lagta hai,
Aur us pagli ladki ke bin marna bhi bhari lagta hai.

Didi kahti hain us pagli ladki ki kuchh aukat nahin,
Uske dil mein bhaiya tere jaise pyare jasbat nahin,
Woh pagli ladki nau din mere liye bhooki rahti hai,
Chup-chup saare vrat karti hai, par mujhse kabhi na kahti hai,
Jo pagli ladki kahti hai, main pyar tumhi se karti hoon,
Lekin mein hoon majboor bahut, amma-baba se darti hoon,
Us pagli ladki par apna kuchh adhikar nahin baba,
Yeh katha-kahani kisse hain, kuchh bhi to saar nahin baba,
Bas us pagli ladki ke sang jeena fulwari lagta hai,
Aur us pagli ladki ke bhin marna bhi bhari lagta hai.